Ye waqt ruk kyon nahi jata?
Do pal ke liye
Safar hai lamba
Aur rasta kathin
Kafila tha jo mera
Nikal chuka hai aage kahin
Door se aati hai kabhi
Aawaz un sathiyon ki
Humsafar the kabhi jo
Fir bhi chal rahe hai kadam
Sham hone ko hai
Aur mukaam ka andaz nahi
Kabhi doobte sooraj ko dekhta hoon
Kabhi samne banhe failaye khade raste ko
Kabhi woh rasta aawaz deta hai
Jise main peeche chod aaya hoon
Kabhi mere hath ki gadi
Apne hone ka ahsaas deti hai
To kabhi meri mutthi ki rait
Bas gujarti jati hai
Kabhi ji karta hai pukaru use
Jo mera farishta hoga kahin
Kabhi sochta hoon nahi hai shayad farishta koi
Kuch sach kuch sapne
Lekin wahi adhura safar
Aur gujrata waqt
Kabhi cheekhta hai sannata
Kabhi khamosh ho jata hai antarman ka shor
Kabhi dekhta hoon nishan us raste par
Akela to nahi main
Bahut log gujre hai isi safar se
Par wo waqt shayad aur tha
Kabhi khojta hoon us veerame me
Shayad chipa hoga koi to kahin
Mere liye devdoot bankar
Ya koi aur bhatak raha hoga
Bhichad kar apne kafile se
Par sannate ko chirti
Meri sanso ki aawaz
Deti hai gawahi mere akelepan ki
Achanak udti hai dhool fir se
Shayad naya kafila hai koi
Na jane kyon
Ek dar sa lagta hai antarman me
Chup jata hoon main
Us purane peepal ke peeche
Yeh peepal mujhe
Na jane kyon yaad dilata hai
Mere purane ho chuke armano ka
Dekhta hoon us aur kafile ko gujrate hue
Kuch waisy hi log jinhe main janta tha
Kuch mere hi jaise chehre
Jane pahchane par fir bhi
Sabhi ajnabi
Kyon chup gaya main
Main bhi nahi janta
Shayad batana nahi chahta unhe
Kaun hoon main
Kaise bhichad gaya kafila mera
Fir chal pada main
Apni hi dagar par
Shayad manjil yaad hai mujhe
Par waqt rukta nahi
Do pal ke liye
Aur chala jata hoon main
Anjaan dagar par...
Friday, November 2, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Bahut khuub likhe ho... padh ke accha laga aur kahin na kahin apne aap ko bhi dekha maine...
Theek kehte ho... waqt kabhi nahin ruukta aur palak jhapakte aankhon se duur ho jata hai...
keep writing!!
Post a Comment